mera sham salona shah piya
hamain maar gai teri chah piya
hamain sooli sooli latka do
hamain jangle jangle bhatka do
jo ji se chahy yaar karo
ham parh jo gaye teri rah piya
Teri shakal bisarat ankhon ki
Tera lams riyazat sanson ki
Tera naam labon ki aadat hai
Meri aik aik sans gawah piya
Mera sham salona shah piya
Hamain maar gaye teri chah piya.
(Poet: Farhat Abbas Shah)

No comments:
Post a Comment