Mery pani main mila aor zara sa pani..
Meri adat hai k peeta hn main patla pani..
Allah Allah safai sy wo raghbat us ki..
Us ny huq’qay ka kai saal se na badla pani..
Mujh ko suger bhi hai aor pass-e-shareeat b hai..
Meri qismat main na meetha hai na karwa pani..
Chahy hi chahy badan main lahu k badly..
Dorta hai ab ragon main yehi t’ta pani..
Main ik falsafi is fikar main dooba dekha..
Hota kis tarah ka, gila jo na hota pani..
Itni achi b nahin itni samaaji tanqeed..
Band ho jaye na Anwar tera huqa pani
(Anwar Masood)

No comments:
Post a Comment